Thursday, September 20, 2007

Yeh lamha filhaal jee lene de

Subah ke kuch 7:45….need main kisi ki aawaj sunayi deti hai.. mera dost varun jo puch raha hai ki office nahi jaana kya… do min tak kuch sochne ke baad main dimag main kahyal aata hai.. aaj phir office ki bus miss kar di…. Waise to yeh koi nayi baat nahi hai….barso se aisa hota aa raha hai.. exam ke din to neend or bhi jayda aati thi… subah aankh khulti thi to pata chalta tha ki ab to kuch hi ghante bache hai… abhi to bahut kuch padne ko bacha hai… ab kya padu.. kaise hoga.. jaane kaise kaise vichar aate they…lekin..agali subhe wahi..kahani…bhagwan ki daya se..woh exam naam ki cheez ab nahi hai …waise to zindagi roj naya exam leti hai lekin dil school or spacially college main diye gaye exam or un exam ke dino ko kabhi nahi bhool sakta hai..

Exam ke un dino main hostal ek alag sa lagne lagta tha. Ek azzeb se khamoshi pasar jati, suraj rat me ugne lagta …aor din me to badastoor use jalna hi hota hai. Jis “batch” ka exam nahi hota hai vo bhi apni chal sust kar deta..shyad ye ek alikhit ..Samjhouta tha.jo barso se aise hi badastoor chala aa raha hai…or un main se jinko alarm ke saath utne ki bimari hoti thi.. un logon ko to khas hidayat di jati thi ki fala baje fala ko uthana hai aor jab tak vahi date rahna hai jab tak ki vo shkhs poori tarah aankh kholkar vapas mustedi se padne lag jaye …….kyoni kai bar kuch log neend me hi bol dete hai “haa main uth gaya hu”. Or baad main sote rahte hai..aise waqt main class topper farishte sarekhee nazar aate hai.. aadhi class to unke notes ko hi xerox kara kar phadti hai…”Xerox” yeh bhi bade kaam ki machin hoti hai ek engineer ke liye..
kyoki un chaar saal main ek engineer jitna bhi phadta hai..woh sab Xerox hi hoti hai..kabhi kisi book ki to kabhi kisi ke notes ki Xerox…

Xerox se jehan main ek kiss humesha yaad aata hai huare batch main..ek dost ne ek baar assignment main bhi Xerox submit kar diya tha…baad main unki jo haalat hui thi woh bhi dekhne laayak thi…waise to Xerox ki kahani bahut lambi hai..ise phir kabhi likhege.. abhi hum phir se apne pyare topic per chalte hai… exam

Exam ki raat bhi ajeeb hoti thi..Poori raat ek jashan ka sa mohaal rahta tha ..lekin tension sab ke chehre per saaf dekhi jaa sakti thi..kisi ko top karne ki tension hai to mere jaiso ko..pass hone ki tension.. lekin us tension main bhi ek dusari ki taang kichane ka moka koi bhi apne haath se nahi jaane deta tha…

or paper se kuch ghanto pehele ka sama to bahut hi payra hota tha….jis dekho woh .. notes haath main liye..kuch naa kuch dhoond raha hota tha..kisi ko pen nahi mil raha hai. to kisi ko kisi important chapter ke notes nahi mil rahe..waise aise time main bahut se cheese nahi milti hai..
ek dusare pe chilate hue sab apna samaan khoj rahe hote hai.. per majal hai ki notes haats se gir jaaye… aadha maan or aadhi aankhe to notes per hi tiki hoti thi..

or kuch logon to examination haal ke bahar bhi kitab ko le kar ghoor rahe hote hai.. pata nahi 2 min main aisa kya kar lenge..lekin.. lage pade rahege… jabki aap agar examination haal bahar ka mohaal dekhe to aisa lagta tha ki jaise …sanik jung ladne jaa rahe hai..pata nahi aise main koi kaise pad sakta hai..lekin woh kehte hai naa maan main lagan or bhakti saghan..to..sab kuch ho jaata hai…mere khayal se aise samey main ..do hi kism ke logon phadte hai ya to jinhe sab kuch aata hai ya woh jin ko kuch bhi nahi..

or jaise hi paper start hota tha ..chaaro or shanti hi shanti …logon ke chehre ko dekh ke aandaza lagaya jaa sakta hai ki..paper kaisa aaya hai…haa lekin mere jaise bhi kuch bache har batch main hote hai.. jinka chehra humesha netural rahta hai..or main aksakr..aaj baju baithe hue apne bhaiyo se hi puch kar pata karta tha ki paper tough hai ya easy..

mere hisaab se yeh easy paper ya tough paper sirf intelligent bacho ke liye hota hai..mere jaiso ko to attempt hi 40 50 ka karna hota hai..to kya tough or kya easy..kaise naa kaise gir pad ke itna to hi jaata hai or jin subject main nahi ho pata tha us main lag jaati thi back…
back yeh bhi badi bekar cheez thi.. chaar saal main sab se kathin kaam kuch laga to woh tha back paper.. waise back ke baat naa hi kare to acha hai..kyoki yeh problem to result aane ke baad hi shuru hoti thi…
Paper khatam hone ke baad sabse bada .. rumour result aane ka hi hota hai…or jab bhi result aane ki khabar failti thi to aise failti thi jaise jungal main aag… or jise dekho who net ki taraf bhaagta tha…

Per jo bhi tha..jaisa bhi tha… humne humesha chaha ki kaash woh pal ek baar or jeene ko mil jaaye ..is liye nahi ki hum unhe ache se jee nahi paaye..balki isliye ki woh hi kuch pal they jo humne dil se jiye hai...

No comments: