Wednesday, May 28, 2008

Few Beautiful Lines...

Chale ao hum yaad karte hain,
yeh woh gunah hai jo hum bar bar karte hain,
jala ke chirag hasraton ka dil mein,
hum apke aane ka intezar karte hain..

--------------------------------------------------
Judai har pal yun mehsoos na hoti,
kash wo itni majbur na hoti,
waqt banaa deta hai insan ko bewafa,
warna mohabat itni mashhoor na hoti !

---------------------------------------------------
Mere haal pe unka muskurana gazab tha,
Bina bat mujhe unka stana gazab tha,
Milne ki baat chale to bahana bana dena,
aur Bina vade ke unka aana gazab tha..


Nahi aata...

log rooth jaate hain mujhse,
aur mujhe MANANA nahi aata..

main chahta hoon kya,
mujhe JATANA nahi aata...

aansuon ko
pina puraani aadat hai,
mujhe aansoo bahana nahi aata..

log kahte hain mera dil hai patthar ka,
isliye isko pighlana nahi aata..

ab kya kahoon main
kya aata hai, kya nahi aata
bas mujhe mausam ki tarah
BADALNA nahi aata..