Thursday, July 26, 2007

Bas ek hi khata har baar karta hu..

Mein lafzo mey kuch bhi izhar nahi karta
Is ka matlab yah nahi kay mein tujhe pyar nahi karta..

Chahata hon mein tujhay aaj bhi par
Teri sooch mey apna waqt bekar nahi karta..

Tamasha na ban jaye mohabat meri
Is liye apne dard ko sare bazar nahi karta..

Jo kuch mila hai isse mey khush hou mein
Teray liye KHUDA se takrar nahi karta..

Par kuch tu baat hai teri fitrat mey zalim
Warna mein tujhay chahanay ki khata bar bar nahi karta....