Thursday, May 31, 2007

Deewangi



Hum apni Deewangi se jaane jaate hain
Woh apni Be-Rukhi se pehchaane jaate hain,


Roz miltey hai lekin, kuch Kehte Sunte nahi
Mere saamne woh Meri Dharkan barhaane aate hain,

Shab-Bhar Intzaar mai Hum Taare dekha karte hai
Sawera hone se pehle woh chand bujhane aate hain,

Bas Ek Nazar ke liye Hum Din-Bhar taraste hain
Woh Shaam ko Gamlon ko Paani pilaane aate hain,

Mere is Haalat pe Hansana nahi MUSAFIR Tu
Ishq mai sab ke Saamne aise Zamaane aate hain..