Raat ke kuch 12 am…Bahar baarish ho rahi hai….amuman aisa hota nahi ki baarsih ho rahi ho or main us main bheegne ka maza naa lu..lekin aaj main room per baitha hu…or is girit hui boondoin ko dekh kar jo khayal dil main aate hai un ko yeha samete ki koshishi kar raha hu..
Kitna acha lagta hai naa ki baarish ho rahi ho .. or garam garam pakode ho ..saath main agar chay ki pyali ho jis main se garam dhunua nikal raha ho...or aap chaar dost ke saath baithe kar..gupshup kar rahe ho…
aaha..zindagi kitni khoobsurat lagti hai naa..or kya chahiye..
Par asal zindgi me pakode bante hai aur chay bhi hoti hai nahi hoti hai to bas fursat.
Haa baat bas waqt ki hi hai.. nahi to chaar to kya..aap apne or bhi kai dosto ke saath baith ke gupshup kar sakte hai..purani yaadein taaza kar sakte hai…
Lunch hai lekin lunch karne ka waqt nahi hai.. phone hai par baat karne ka waqt nahi hai
Yeha tak ki subhe office jaane ko late ho rahe hai..to nahane ko bhi waqt nahi hai..
kitna achhi neend aati hai na jab koi sote hue uthata hai ya aapka alarm bajta hai aor aap takiye se lipat kar "aor 5 minute" mang kar sote hai…
ho sakta hai ki office or office ke kaam ke chakkar main humare pass time nahi rahta hai
Par week main do din to off bhi hote hai..lekin hum sochte rahege ki kya kare..yeha chale ki waha chale…or woh din bas is soch main palak jhapkte hi beet jaate hai.. naa to aap apne dosto se mil paate hai naa hi apne fav restaurants main jaa kar kuch kha paate hai..
Naa koi movie PVR main baith ke popcorn or coke khate hue aaram se apne mobile ko switch off kar ke dekh paate hai..
or in the end humare pass ek hi jawab hota hai waqt nahi mila… sahayai yeh ki waqt nahi bhaag raha hai…hum bhaag rahe hai.. shaayd hum sab bachpan main phadi us baat ko follow kar rahe hai ki samjhdaar insaan woh hai jo waqt ke saath chale…
sach kahu to aise main mere ko javed akhter ki do line yaad aati hai ki
“kuch logon waqt ke saanche main dhal gaye kuch logon waqt ke saanche badal gaye”
kul milakar vaqt dejiye apne aap ko zindgi sirf ek bar milti hai.ise muskarate hue jiye..
No comments:
Post a Comment