Tuesday, January 16, 2007

Yeh ghazal achi lagi

Masoom-E Mohabbat

Masoom-E Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai
Kagaz Ki Haweli Hai Baarish Ka Zamana Hai

Kya Shart-E-Mohabbat Hai, Kya Shart-E-Zamana Hai
Awaaz bhi Zakhmi hai aur Geet bhi gaana hai

Uss Paar Utarne Ki Umeed Boht Kam Hai
Kashti Bhi Puraani Hai Aur Toofan Bhi Aana Hai

Samjhe Ya Na Samjhe WoH Andaaz Mohabbat Ke
Ek Shakhk ko Aankhon Se Shair Sunana Hai

Bholi Si Adaa Koi phir Ishq Ki Zidd Par Hai
Phir Aag ka Darya hai Aur Doob ke Jana Hai

====================================

Yeh ghazal achi lagi

Na dushmani achi lagi na dosti achi lagi,
Hum ko tou us shakhs ki berukhi achi lagi

Log the is sheher ke saaray hi khush mizaaj,
Dil ko lekin aik teri sanjeedgi achi lagi

Main ne apnay rub say phir maanga usi ko umer bhar,
Jis ki aankho ki mujhe darya dili achi lagi

Bas ana pe naaz tha jis ko na shab bar so saka,
Lamha lamha uski barhtibe basi achi lagi

chain aik pal main hi us ke bechar janay kay baad,
Mujh ko apnay hijr ki aik aik ghari achi lagi

Mere daman main raha kuch bhi nahi magar,
Woh rahay khush yeh soch kar zindagi achi lagi.

No comments: