
Chah nahi main sur bala ke gehno(n) mein guntha jaaun,
Chah nahi main premi mala mein bindh pyari ko lalchaaun,
Chah nahi devon ke sir par chadu bhagya par ithlaaun,
Chah nahi samraton ke shav par he hari dala jaaun,
Mujhe tod lena van-mali us path par dena tum phenk,
Matrabhoomi par sheesh chadane jis path jaayen veer anek.(by Makhanlal Chaturvedi)